Kal Bigg Boss 20 ke house mein Scout OP ke liye ek emotional rollercoaster tha. Unka Yung DSA ke saath jhagda itna bada ho gaya ki Bigg Boss ne unhe puri season ke liye nominate kar diya. Yeh punishment ne Scout ko andar se hila diya.
Iske baad Love Gill ke saath bhi unka fight ho gaya. Pyjama-Nada joke ko leke dono mein bahut garm baat hui aur aakhir mein Scout ghar mein almost akele pad gaye. Frustration itni badh gayi ki Scout ne apne saare baal kaat liye aur completely bald ho gaye.
Baad mein Smoking Room mein Scout bilkul toot gaye aur ro padhe. Amrapali aur Love unhe samjhane aaye, lekin Scout ne time maanga aur akela rehna chaaha. Tabhi Yung DSA unke paas pahuncha aur unhe tight hug de diya. Yeh dekh kar Scout aur zyada emotional ho gaye.
Aakhir mein Scout aur Yung ne saath baith kar saari baatein clear ki. Jo issues dono ke beech chal rahe the, unhe openly discuss kiya aur sab samajh kar patch up kar liya. Ab dono phir se friends ban gaye hain
Yeh poora emotional sequence Weekend Ka Vaar episode mein Saturday ko dikhaya ja sakta hai. Salman Khan is baare mein kya kehte hain aur house ka reaction kaisa hota hai, yeh dekhna interesting hoga.
Aapko kya lagta hai – Scout ne sahi kiya bald hone se, ya Yung ne sahi waqt pe unhe support kiya? Comment mein apna opinion zaroor batao!