Bigg Boss 20 Latest Voting Trend: Qazi Touqeer Lead Pe, Manish Elimination Ke Khatre Mein!


Bigg Boss 20 ke Week 10 mein voting battle puri tarah se garm ho chuki hai. Is hafte almost poora ghar nomination mein hai (Arishfa Khan ke alawa), aur latest unofficial voting trends ke mutabik picture kaafi clear dikh rahi hai.

Latest Voting Trend 
Qazi Touqeer – 31.3%
Yung DSA – 28.1%
Scout OP – 15.6%
Uditi Singh – 8.3%
Gullu – 4.7%
Love Gill – 4.2%
Kanika Mann – 3.1%
Aamrapali – 2.1%
Mahhi Vij – 1.6%
Manish – 1%

Qazi Touqeer is waqt clear lead leke chal rahe hain. Unka fan base, Kashmir se connected support aur house mein unki personality ne unhe top pe le aaya hai. Yung DSA bilkul unke peeche tight race mein hain, jabki Scout OP teesre number pe hain.

Manish Ke Liye Badi Khatra

Sabse bada shock yeh hai ki Manish (Manish Goel) sirf 1% votes ke saath bilkul bottom pe hain. Aamrapali aur Mahhi Vij bhi neeche hain, lekin Manish ka number sabse khatarnak hai. Isliye is baar unki elimination ki sambhavna sabse zyada lag rahi hai.

Reports ke hisaab se Mahi Vij aur Manish Goel dono lagging behind hain, aur voting lines abhi open hain. Final result Weekend Ka Vaar mein Salman Khan announce karenge.

Kyun Qazi Lead Pe Hain?

Qazi Touqeer ne is season mein rockstar wala comeback kiya hai. Unki emotional moments, Salman Khan ka support, aur strong fan army ne unhe consistently top trends mein rakha hai. Yung DSA aur Scout OP bhi strong contenders hain, lekin is week Qazi ka dabdaba dikh raha hai.

Note: Yeh trends unofficial hain (fan polls aur online reports se). Official voting JioHotstar/Colors pe hoti hai aur last moment tak badal sakti hai. Voting lines generally Friday morning tak open rehti hain.
Aap kiske liye vote kar rahe ho? Qazi ko support karna chahte ho ya Manish ko bachane ki koshish? Comment mein batao!
Previous
Next Post »